Kya aap apni train ki ticket ka payment debit card, Credit card ya kisi e wallet ka use karte hain. Lekin ab aap irctc E Wallet ke through Online payment kar sakte hain. Tatkal Ticket ki booking Irctc E Wallet aapke samay ko bachata hai. Aaj ke post me aap janenge IRCTC E Wallet Account Kaise Banayein aur use karein?

IRCTC E Wallet Account Kaise Banayein
Step 1: irctc.co.in Website par jayein.
Step 2: Yanha apna username aur password enter kar ke apne irctc account ko login karein.
Step 3: Login karne ke baad left side me aapko IRCTC E Wallet ka section show hoga, Ish par tap karein aur IRCTC e Wallet Register Now ko select karein. ।
Step 4: e Wallet Registration ke liye aapko PAN ya Aadhar card ke jariye khud ko verify karna hoga. (Agar aap aadhar card jariye verify karte hain to aapka KYC Irctc profile me save ho jayega.
Step 5: Verification ki process puri hone ke baad e Wallet registration fees liye payment page open ho jayega.
Step 6: Yanha aapko apna transaction password banana hoga. Password ek baar reconfirm hoga. (Ye password aapse booking ke dauraan maanga jaata hai.)
Step 7: Ishke baad e Wallet Registration fees ke liye aapko payment options me diye gaye banko me se kisi ek bank ko choose karna hoga.
Step 8: Ek baar payment pura hone par aapka account apne aap logout ho jayega. Iske baad aapko message milega janha process puri hone ki information likhi hoga. Yanha main aapko bata dun ki Registration fee refund nahi hota hai.
IRCTC e Wallet me Deposit Kaise Karein?
Step 1: irctc.co.in ki website par jaayein aur e Wallet Account ko login karein.
Step 2: Iske baad aapko left side me Navigation bar me IRCTC e Wallet Deposit link show hoga, Ish par click karein.
Step 3: Ab aapko jitne rupaye deposit karne hain utni amount likhein. Iske baad system aapko likhi huie amount ko dubara confirm karne ko kaha jayega. Aap apne E Wallet me minimum 100 Rupaye deposit kar sakte hain. Jabki 10,000 rupaye tak aap apne account me paise jamaa rakh sakte hain.
Step 4: e Wallet account me paise jamaa ho jaane ke baad aapko registerd mobile number par ek confirmation message milega.
IRCTC E Wallet Me Deposit Balance Kaise Dekhein?
Step 1: e Wallet Account me aapko left side me aapko Deposit History link show hoga, ish par click karein.
Step 2: Yanha apna password enter karein aur Go button par click karein.
Step 3: Iske baad system aapko Deposit History page par aa jayenge, Janha aap e Wallet me jamaa kiye gaye aap tak sabhi balance dekh paynge.
Ye bhi padhein
Ab Railway Counter Ticket Cancellation Online Karein
IRCTC Account Ko Aadhar Se Link Kaise Karein
Cancelled train ticket Ka check Karein refund status Online
Mujhe ummid hai aapko ish post se help mil jayegi. Post ko share kijiye jissey dusron ki bhi help ho sake.
badiya post hai bhut helpful hai. such an amazing article. thanks for sharing with us.