AnytechInfo Ke Founder Ravi Kumar Ka Interview – Hindi Blogger Interview

Aaj Hindi Tech Jagat ke Top 10 Blogger Ravi Kumar Jo Founder hain Anytechinfo.com ke hum unka Interview aapke saath share kar rahe hain. Yanha Maine Ravi Kumar se unki blogging se lekar unke personal life ke baare me kai question puche hain jinka unhone bahut hi aasani se jawab diya hai.
Main apne Readers se maafi chahunga ki maine ye interview bahut late published ki hai. Der hi sahi Ravi Kumar ji ka exclusive interview aapke samne hai.
Ravi Kumar ke ish Intersting Interview ko padhne ke liye post ke saath bane rahein.
Sabse Pehle To Ravi Ji Swagat hai aapka Technical Mitra ke Interview Series hai. Ish interview series ke aap First Blogger hain. Ravi Ji se Meri Baat Facebook Messenger par huie hai. Aur Interview ki baat Chit aapke samne Prashtut hai.
Nitish:- Ravi Ji Waise To Hindi Tech Lovers aapko acche se jante hain. Lekin Kuch aise log Jo Yanha naye hain aur aapke baare me nahi jante to unke liye apne aur apni blog ke baare me kuch batayein.
Ravi:- Mera Naam Ravi Kumar hai. Main Hindi Tech Blog Anytechinfo.com ka Founder aur Author Hun. Main Bihar ke ek Chote se Town Begusarai ka Rehne wala hun. Sabse Pehle to aap mere baare me thoda jaan lijiye blog ke baare me to aap visit kar bhi jaan lenge. Main Computer aur Mathematics ka Teacher hun. Saath Apni Study bhi Jari Rakhi hai.
Nitish:- Ravi Ji Kya Aap Future me Youtube Join kar sakte hain?
Ravi:- Yes Future me join kar sakta hu But mujhe Youtube ki bahut sari policy pasand nahi jaise Ek you tuber bahut muskil se subscriber Banate hai agar kahi kuchh galti ho gai to hamara chanel suspend ho jata hai phir hamari sari mehnat bekar isliye jayada aadmi youtube ko as a carrer ke rupe me nahi lete
Nitish:- Aisa Ho sakta hai ki Future me anytechinfo Blogging Courses offer kare? Agar Courses available to wo free hongi ya paid?
Ravi:- Mai abhi apne area iska Course start karne wala hu 2 blogger milkar Ashutosh and mai Ye ek paid Course hai online job hi aayegi wo free hogi.
Nitish:- Kya aapke gharwalo ko pata hai ki aap blogger ho aur issey earning kar rahe hain?
Ravi:- Nahi mere ghar walo ko iske bare me pata nahi hai Wo bus itna jante hai wo jaha rahkar padhai karta hai Wahi Computer aur mathematics ka class leta hai usi se Income hoti hai ha lekin itna pata hai Internet,mobile, computer ke hare k problem ka solution Dhundh leta hai
Nitish:- Aap hindi tech jagat ke top 10 blogger me se ho bahut se log aapke subscribers hain aapko follow karte hain kya kabhi readers ko manage karne me dikkat bhi aati hai?
Ravi:- Dikkat To bahut aati hai lekin Sub ko jhel leta hu kyuki wo mere reader hai mere fan hai aur mai jo hu unhi ki wajah se hu to mai ye nahi kah sakta unhe manage karne me dikkat aati, Kuchh log Jiddi Type ke hote hai lakh mana karo Hi Hello , Ye sub msg na kare phir bhi karte hai uss time Aise Reader se Dikkat hoti hai
Nitish:- Aapka Ek Popular Post hai “Mera Google Adsense kaise approved hua” iska part 1 aa gaya hai part 2 aap kab tak apne readers ke liye post karenge?
Ravi:-Sorry Nitish Actully Hota kya hai koi na koi sawal ya naye Topic aa jate hai Jisko likhna jaruri ho jata hai mai koshis karunga July 2017 end hote hote likh Du.
Main aapko bata dun ki “Mera Google adsense kaise approve hua” ka part 2 likhne ke liye maine kai baar ravi ji request bheji hai. Bahut hi badhiya dhang se ek story me unhone google Adsense ke approval ke tips, kya problem face hoti hai ye sab kuch unhone bataya hai. Ummid hai Part 2 ussey bhi adhik dhamkadaar aur interesting hoga. Aise blogger jinka adsense approved nai hua hai wo ek baar jarur anytechinfo.com ki site par jaakar isey padhein.
Nitish:- Ravi Ji aapne apne Anytechinfo.com ki 1 year unsuccess story ke baare me post likha hai aapko darn ahi laga ki issey aapke readers par bad effect padega?
Ravi:- Mere Reader mante hai mai ek success man hu But mai nahi manta hu aise to hare k Insan success hai Lekin mere life ki bahut sare Goal hai Jo pura Hone ke bad hi mai kahunga I Am Successful Aise bhi khud ke muh se Apni Barai achha nahi lagta Logo ke muh se suno To khud ke aur Dusre ke nazar me bhi jayada Value Milti hai
Nitish:- Kuch Log kehte hain Ravi Kumar Thode Ghamndi nature ke hain. Ish baat ko aap kis trah se dekte hain kya kehna chahenge.
Ravi:- Dekhiye Log kya sochte hai aur kya bolte hai ye mujhe nahi Sunaa are logo ka kam hi hai Bolna kuchh karo to bhi na karo to bhi Sorry unlogo ke liye jo aisa sochte hai aap ye galat fehmi nikalkar Ek bar Achhe se chat kare jalne ke bhawana se kisi aur Niji problem ya phir hame Ghamandi wo log Bolte honge Jiska mai Reply Facebook par nahi kar pata hu Kyuki Mujhe Waise sawal se nafrat hai jo Likhte hai , Hi Sir , Hello Ravi Bro , Sir mai ek Sawal Puchhe sakta , Ravi Bro kya aap meri help karoge , Ravi ji plz help me are bhai mai help karunga but sidhe permission lene ki jagah sawal puchho Agar aise logo ka jawab nahi melega to ghamandi kahenge hi
Nitish:– Ek swal Jo Mujhe Mail kiya gaya aapse puchne ko Gyaniwebpoint se vivek ka hai ki Kya Blogging me successful hone ke liye Blog ko wordpress par shift karna jaruri hai. Aur mostly blogger wordpress use karte hain. To kya WordPress Google me blog ki rank bhi badhata hai?
Ravi:-Dekhiye Success se platform ka koi lena dena nahi agar hum wordpress par blog bana liye uspar work hi nahi karenge To wo success hogi WordPress Platform par feature jayada Milte hai isliye yaha bahut jayada log hai aise kai blog mil jayenge jo Blogger par hai phir bhi successful hai aur lakho rupe kama rahe hai
Nitish:- Kya Aapko apke Competitors blogger se pareshani aati hai ?
Ravi:-Nahi inse kaisi paresani ye sabhi mere Achhe Dost hai Ab thodi paresani nahi hogi apne Cometitors se Success hath lagne me bahut time lag jayegi Chahe wo koi Bhi ho student hi kyu nah o Commippiter se Jalna suru karo aap pahle se achhe work karoge yaha ek bat ka Dhayan rahe samne wale se aage jane ke liye uska Koi nuksan na kare
Nitish:- Haal hi me Me humlogon ne Dekha ki Rohit Bro Ke blog par cyber attack hua tha. Aap apni Site ko secure aur safe karne ke liye kya karte hain.
Ravi:-Ha maine Dekha hai isme kahi na kahi Rohit Bro ki galti hai Jiski wajah se ye hua Mujhe jitne Ho raha mai apne site ko utna Secure rakhne ki koshis karta hu jitne bhi tarike hai usme se impotant Method ko Followe karta hu phir bhi hum ye dawa nahi kar sakte internet par hum safe hai
Nitish:- Kya Ravi Kumar Feature me koi aur new blog launch karenge?
Ravi:-Maine 1 Month pahle 2 blog Creat kiye ek Hindi and English aur 2 Blog Lounch last august me hogi Abhi marketing ke liye mere pass ladke kam pad rahe hai Ek aur bat mai public me sirf anytechinfo ko Hi rakhunga Baki blog ke bare me mere aur mere sath worker uske alawa kisi ko nahi pata ye bhi mera hi blog hai apni pahchan chhipana padta hai Usme mera target sirf search engine hai.
Nitish:- Aap abhi tak single hain? Kya Hindi Tech Blogger Ravi Kumar ki Koi Girlfriend hai.
Ravi:- Abhi tak Singal hi Hu bro Isse bachhe ki jan lena cahate ho Yes GF hai
Nitish:- Kai blogs/ Website par Aapki Interview published huie hain. TechnicalMitra par aapka ye experience kaisa raha?
Ravi:- baki Ke blogger Wahi sawal Puchhte hai aap successful kaise hue, traffic kaise badahye , aap Blog manage kaise karte hai , Etc but aapka interview se mujhe aisa laga Aap mere pure site ko dekh chuke ho Aaye Din isse pahle abhishek sharma Aur aap dono ka sawal lajwab and Unique hai
Nitish:- Technical Mitra par Ye Kisi blogger ka first interview hai. Kya Kehna chahenge aap Technical Mitra aur Mere jaise newbie bloggers ko?
Ravi:-mai to aapko new nahi kahunga kyuki aap itna accha likh lete ho jub mai naya tha to nahi likh pata tha To mere kuchh dost word dekhte hai Yubraj Vayas, Neeraj verma , Vikky , Vivek etc inhone mujhe bahut help ki meri galti ko batakar Aap jo kar rahe ho @Nitish wakai bahut achha kar rahe ho I Hope Hum sub aapke sath hai bahut jald aap bhi isi tarah kisi aur ke blog par interview Dene ke kabil Ho jayenge
To Mitro Ye Kuch Sawal They Jo maine anytechinfo ke Founder/Author se kia jinka unhone badi sarlta ke saath jawab diya. Mujhe ummid hai Ravi Ji Hindi Blogging aur New Bloggers ko aage le jaane me humesa isi trah help karenge.
Aapko Ravi Ji ka Ye Web Interview kaisa laga Please comment karke hume jarur batayein. Aur haan Post ko jarur share kijiye. Agla interview aise hi kisi khaas blogger ka hoga to Blog ko subscribe kar lijiye. Taki New Post ki Notifiication aapke inbox par milti rahe.
Ye Bhi Padhein.
Top 10 Hindi Tech Bloggers | Hindi and Hinglish Tech Bloggers
Rohit Mewada Ki Hindi Tech Blog Hindimehelp.com Par Cyber Attack
Top 10 Digital Marketing Blogs in India
nyc interview! keep it up
Thankyou Tejas
Hi Nitin!
I am following him For the last 1yr and I have learned many things from him. He always provides helpful and awesome content on his awesome blog. Thanks 4 Featuring Him on your blog.
Bahut hi Accha Interview lia Nitish ji aapne, isse hume Ravi ji ke baare me aur jaanne ka mauka mila… thanks … keep sharing keep blogging ~
Thank You Neeraj Ji,
Aapko Ye Interview Pasand aaya. jald aapka bhi interview Humare blog par published karne ka aap mauka denge.
Dhanyawad
Hello Nitish sabse pahle aapko dil se dahanbad aapne mujhe iss kabil samjha mai aapko kuchh suggetion dena chahunga
1. Aap apne blog ke footer me dekhe bahut jayada space bach raha hai usse fix kare
2 . Aise aur bhi bate batata but mujhe lag raha aap theme change kar do isse badhiya look wali theme use kare
Ravi Ji,
Aapka bahut bahut Dhanyawaad. Mujhe ummid hai aap aise hi mera margdarshan karte rahenge.
1. Footer me maine adsense ka code lagaya jis wajah se space aa raha hai.
2. Main aisa kaun sa theme lagaun aap mujhe suggest karein.
Bahut hi Badhiya interview pos kiya aapne ise padhkar mood fresh ho gaya
Thank you Mukesh
Thsnks mukesh ji
Great interview keep it up.
Thank You
Himanshu Ji
Kafi acchi interview hai… accha lagta hai new hindish blogger ko dekh..goole adsense vi approve karne laga hai hindish ko… yeh sabse achhi bat hai… Nitesh ji umeed hai aap ki vi jaldi approve ho jayegi..
Thank You Amit JI,
Aapke comments hi humare jaise newbie blogger ka hoshla badhate hain.
bahut hi acha interview liya hai apne ravi bro
ka
padh ke maja a gaya
ThankYou
Sandeep Ji Aapko aisi hi interesting post milti rahegi
Nitish bro. Aapne bahot hi achha interview liya hai….
Hame is interview se Ravi Ji ke bare me kuch alag janane ko mila….
Thanks
good keep it up
Thankyou Manoj
Keep Support and Visit again.
Wow sir this article is very helpful for me
Thanking you
Thank You Salman,
Keep Support and Visit again.
oh nice
SUPER BHAI KAFI INTRESTING INTERVIW HAI.
Thanks Vivek
bhut acha interview lihka hai apne aur jo swal kiye hai wo bhi kafi helpful hai so keep sharing….
Thank You So Much. Aage aur bhi bloggers ke interviews aayenge.
aapne bahut achha work starting kiya isse hame bahut saare blogger ke baare me janane aur unke success hone ke baAre me pata chalta hai. so good information..
Thank You So Much
Good job Bhai……………
Really amazing blog? keep up the work..
Nice Article !
Keep on writing such type of article, it is amazing for readers.
Bahut Hi Achcha Post Hai. Thanks
Bahut si spellings error hai, please correct that.
For eg. Kya Ravi Kumar feature mei koi other blog start karenge.
Feature ki jagah future.
Dear Nitish, really nice post & thanks for sharing
Thanks, I hope you find some more interesting articles
Nitish Bhai Kafi Achcha Interview hai. Thanks
Very nice
Nice bhai
बहुत अच्छा interview लिया आपने
Bhai me ek Apka viewer hon. Muje aap backlink denge apne blog pe
Uske badle me me bhi aapko backlink mere blog me dungha Bhai pls.
Very Nice Hindi Interview
Tnx bhai backlink dene ke liye
सर आप हिंदी में बहुत बढ़िया से समझाते हैं धन्यवाद
Very Nice Detail And Good Article Thanks Brother
Visit Dj Rajan Nishad.com
Great intervivw nice job.
आनंददायक और बढ़िया इंटरव्यू लिया सर |
Dear Nitish, really nice post & thanks for sharing
THank You
Dhanyawaad Mujhe ummid hai aap humse aise hi jude rahenge.
इंटरव्यू बहुत अच्छा हैं. आप कामयाबी के सिखर पर जरुर पहुचेंगे. धन्यवाद
great blog…
Nice Post
nice post bro
Good post
very nice blog post.
Nitish, it’s a great interview about Ravi. So thanks for sharing.
bahut achhe interview lete ho…
i really like it..
thanks .
Good post
आपने बहुत ही अच्छी जानकारी दी है, बहुत अच्छे तरीके से हर बात को समझाया है।
आपकी हरेक बात आसानी से समझ में आ गई है।
मेरा भी एक blog है, http://www.finoin.com जिसमे Share market and Mutual funds Investment की जानकारी प्रदान किया जाता है।
धन्यवाद…
WOW WHAT AN INTERVIEW!! HIGHLY BENEFICIAL FOR THE NEW COMERS LIKE ME !!! WOULD LOVE TO SEE MORE CONTENT LIKE THIS!!!
बहुत ही अच्छा इंटरव्यू लिया है आपने !! बहुत अच्छा लगा पढके !
❝ ये बात हवाओं को भी बताये रखना,
रौशनी होगी चिरागों को भी जलाये रखना,
लहू देकर जिसकी हिफाजत की हमने,
ऐसे तिरंगे को सदा दिल में बसाये रखना। ❞
बहुत ही अच्छा इंटरव्यू लिया है आपने !! बहुत अच्छा लगा पढके !
Is interview se Ravi kumar ke bare mein buhut kuch janne ko mila, buhut hi achha interview liya apne ravi kumar ka achha laga padh ke
बहुत ही अच्छा इंटरव्यू लिया है आपने !! बहुत अच्छा लगा पढके !